Aur agar kapde par lag jaayein toh kapde ka kya hukm hai?
Istehaza ki halat mein namaz kaise padhein?
Jawab:
Istehaza ka khoon bhi Napaak hai.
Yaani ek dirham ya us se zyada lag jaayein to kapda na paak ho jaayega. Aur wuzu bhi Toot jaayega.
Lehaza istehaza wali aurat Namaz ke waqt dosra kapda pahen le. Aur naya wuzu karein.
Haan agar itna khoon jari hai ke pure ek namaz ke waqt mein itni bhi mohlat nahi milti ke wuzu kar ke Farz Namaz ada kar sake to wo Ma’zoor hai.
Use chahiye ke Jab Namaz ka waqt aayein to wuzu karle aur jitni chahein Namazein parhe.
Haan Jaise hi dosri Namaz ka waqt aayega wuzu toot jaayega ab dobara wuzu karein aur Namaz parhe. Aur Kuch kapda gaddi, pad wagaira rakh le jis se libaas kharab na ho.
Wa-Allahu Ta’ala A’lam
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi