Sirf gusal karne ke baad namaz padhna kaisa hai

Nahane ke baad hum gusal karte hai, Fir direct namaz ke liye khade ho gaye, to kya namaz ho jayegi, ya gusal karne ke baad wazu banana jaruri hai.

Sirf gusal karne ke baad namaz padhna kaisa hai namaz hogi ya nahi hogi.

Jawab:

Agar Sharai taur par Gusl ke Faraaiz ada kar liye to Wuzu bhi ho gaya.

Aur Is se Namaz bhi ada ho jaayegi..

Magar sunnat hai ke Gusl ke sath wuzu bhi kar le.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love