Zaid Ke Sar Farz Rozo Ki Qaza Baki Hai

To Kya Rajab Ke is Mahine Mein Wo Rakh Sakta Hai Aur Kya Wo Jo Roza Rakhega Usko Rajab Ke Rozo Ka Bhi Sawab Hasil Hoga Ya Sirf Qaza Roze Pure Honge?

Jawab:

Qaza agar sar pe hon to pehle unhe ada karne ki jald koshish ki jaayein.

Agar kisi ne Qaza roze rakhein to qaza ki hi niyyat hona zaruri hai.

Nafl ki niyyat se qaza roza zimme se nahi utrega.

Allah ﷻ ki Rahmat se ummeed hai ke wo is maheene Roza rakhne ka mazeed sawab ataa farmaaye.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love