Gusl karte waqt kisiko jawab dene se gusl pe kuch farq padhta hai

Hazrat half sleeves mein namaaz padhna kaisa hai? Namaz ho jayegi ya nahi?

Hazrat Makrooh e Tehrami se muraad Wajibul iyaadah hai..

Aur Makrooh e Tanzeehi se kya muraad hai?

Jawab:

1) Kisi ko Jawab Dene se Gusl pe kuch farq nahi aayega . Haan Washroom me baat cheet karne se Mana Kiya Gaya hai.

2) Half sleeves mein Namaz Ada ho jaayegi magar Makrooh e Tanzeehi hogi.

Jis Kaam se Namaz Makrooh e Tahrimi ho to Us Namaz ka dohrana wajib hai. Aur Karahat e Tanzeehi mein Dohrana wajib nahi.

Haan Us Makrooh kaam se Bachna Chahiye.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love