Aksar Logo Ka Naam Kisi Na Kisi Ambiya E Kiram

Ya Kisi Muazzaz Maqaam Ya Kisi Azmat Wali Shakhsiyat Ke Naam Par Hota Hai. Aur Unki Galat Harkato Ke Baiz Log Unka Naam Lekar Unhe Galiyan Dete Hain.

Iss Par Gali Dene Wale Par Kya Huqm HainnAur Agar Kehne Wala Kafir Hai Aur Mubarak Naam Ki Azmat Se Naashina Hai.

Aur Agar Wo Muslim Huqoomat Mein Hai.

To Kya Uski Shikayat Wahan Ki Police Ko Ki Ja Sakti Aur Jiske Saamne Ye Behurmati Ki Gayi Unn Par Gairate Imaani Ke Tehat Kya Hukm Hoga.

Hanlanki Jiske Saamne Naamke Saath Gali Di Gayi To Uss Sunne Wale Ne Kehne Wale Ki Takfeer Ki Aur Ussko Aaina Dikhaya.

Lekin Kya Faqat Usski Itni Hi Zimmadari Banti Hai.

Kya Shariat Mein Takfeer Karne Wale Ki Kuchh Giraft Hogi, Ke Usko Kuch Zayaada Karna Tha.

Jawab:

Jiska Naam Ambiya E Kiram Ke Naam Par Ho Uska Naam Adab Se Liya Jaayein.

Maslan Kisi Ka Naam Muhammad Hai To Adab Se Ye Naam Liya Jaayein.

Magar Uski Galat Harkat Par Naam Lekar Gaali Di To Us Par Hukm E Kufr Nahin.

Isliye Keh Yahan Gali Dene Wale Ki Muraad Sarkar E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gali Dena Ya Sarkar E Aqdas Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Naam Ki Tauheen Karna Nahin.

Balkeh Iski Muraad Woh Shaks Hai. Jiska Naam Muhammad Hai Aur Usne Kuchh Galat Kiya Jiski Wajah Se Gaali Di.

Jisne Gaali Dene Wale Musalmaan Ki Is Wajah Se Takfeer Ki Woh Taubah Karein.

Aur Jo Pahle Se Kaafir Hai Usse Iski Kiya Shikayat Woh To Pahle Hi Allah Aur Uske Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Inkar Karke Kaafir Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love