Election ke douran vote dalne wale ko rishwat

De dete hai Ke ham ko vote dalo.

Har party wale political party head kafir hai lekin batne wale candidate musalman hai.
Is surat mein wo paise halaal hai ya nahi?

Jawab:

Leaders election ke dino mein vote ke liye raqm de, to uska lena na jaayez o haraam hai.

Kyu ke vote ka maqsad mulki nizam aur awami numaindagi ke liye munasib shakhs ka intekhab karna hai.

Agar koi iske bajaaye kisi aur tareeqe se Raaye badalwane ki koshish karein aur Rupye iske liye de, to ye rishwat hai aur rishwat lena na jayez o haram hai.

Rishwat kisi tarah jaayez nahi. Hadees e paak mein hai ki rishwat dene wala aur lene wala dono jahannami hain

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love