Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ka Mazaar Ghausi, Aazamgardh (Uttar Pradesh) Hai

Alqaab: Sadrush Shariah (Chief Of The Islamic Law), Badr E Tareeqat (Shining Moon Of Tareeqah), Faqeeh E Azam.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ki Wilaadat 1296 Hijri (1879 A.D) Mein Ghausi, Aazamgardh (Uttar Pradesh) Mein Hui.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ke Waalid Ka Naam Allama Hakeem Jamaal-Ud-Deen Bin Maulana Khuda-Bakhsh Hai.

Aap Ne Apne Daada Ke Paas Bunyaadi Ta’aleem Haasil Ki. Iske Baad Apne Bade Bhai Maulana Muhammad Siddeeq Se Majeed Ta’aleem Haasil Ki.

Iske Baad Apne Bade Bhai Maulana Muhammad Siddeeq Se Majeed Ta’aleem Haasil Ki. Phir Aap Ke Bhai Ke Mashware Par Aap Ko Madrasa-E-Hanafiya (Jaunpur) Mein Bheja Gaya.

Waha Hazrat Allama Maulana Hidayatullah Khan Rampuri Se Dars-E-Nizami Ki Ta’aleem Haasil Ki.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Roz Ghausi Se Aazamgadh Tak Aur Phir Waha Se Jaunpur Tak Ka Safar Karte The.

Iske Baad Madrasatul-Hadees (Pilibhit) Mein Shaikh-Ul-Mohaddeeseen Allama Maulana Wasi Ahmad Surati Se Hadees Ki Ta’aleem Haasil Ki Aur 1320 Hijri (1902 A.D) Mein Aapko Sanad Ata Ki Gayi.

Aap Ne Hakeem Abdul Wali Se Ilm E Tibb (Medicine) Sikha. Iske Baad Aap 4 Saal Tak (1323 – 1327 Hijri) Madrasa E Mohaddees E Surati Mein Mudarris Rahein.

Phir Aap Azeemabad (Patna) Jaakar 1 Saal Tak Mareezo Ka Ilaaj Karte Rahein.

Iske Baad Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Ne Aap Ko Bareilly Shareef Bulakar Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam Mein Mudarris Ki Zimmedaari Di Aur Saath Mein ‘Maktbah-E-Ahle-Sunnah’ (Printing Press) Ki Nigraani Ki Zimmdedaari Di Aur ‘Jamat-Raza-E-Mustafa’ Ke Sadr (President) Bhi Banaya.

Iske Ilaawa Aap Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Ko ‘Kanzul-Imaan Fi Tarjamah Al-Qur’an’ Tayyaar Karne Mein Bhi Madad Karte Rahein.

Jo 1330 Hijri (1911 A.D) Mein Mukammal Hua.

1343 Hijri (1924 A.D) Mein Aap Ajmer Gaye Aur For Daar-Ul-Uloom Moeeniyah Usmaaniyah Mein Sadr-Ul-Mudarriseen (Head Teacher) Rahein.

1351 Hijri (1933 A.D) Mein Aap Bareilly Shareef Wapas Aaye Aur Waha 3 Saal Tak Rahein.

Phir Dadoon (Aligardh) Ke Nawab Haji Ghulaam Muhammad Khan Shervan Ki Daawat Par Daar-Ul-Uloom Hafiziah Shervani Mein 7 Saal Tak Sadr-Ul-Mudarriseen Rahein.

Phir 1 Saal Tak Banaras Mein Thehre.

Iske Baad 1364 Hijri (1945 A.D) Mein Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam, Bareilly Shareef Mein Wapas Aayein.

Tasannif : Hazrat Mufti Amjad Ali Azami (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ki Likhi Hui Kitabo Mein Se Ye Mash’hoor Hain:

(1) Bahar-E-Shariat
(2) Fataawa Amjadia
(3) Sharh Ma’an Al-At’har.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ke Mash’hoor Shagird:

(1) Sher Besha E Ahle Sunnat Allama Hashmat Ali Khan,
(2) Mohaddis E Azam E Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Khan,
(3) Hafiz E Millat Hazrat Allama Abdul Azeez Mohaddees Muradabadi,
(4) Imam-Ul-Nahw Sadr-Ul-Ulama Allama Ghulaam Jeelaani Aazmi,
(5) Ameen-E-Shariat Mufti Rafaaqat Husain Kanpuri,
(6) Allama Muhammad Muslih-Ud-Deen Siddeeqi,
(7) Mujaahid E Millat Shaikh Allama Maulana Habeeb-Ur-Rahmān,
(8) Shams-Ul-Ulama Qaazi Shams-Ud-Deen Jaunpuri,
(9) Faqeeh E Aazam Shaikh Mufti Shareef-Ul-Haq Amjadi,
(10) Khair-Ul-Azkiya Allama Ghulaam Yazdani Ghausawi,
(11) Ra’is-Ul-Mohaddeeseen Allama Mubeen-Ud-Deen Amrohawi,
(12) Khaleel-Ul-Ulama Maulana Mufti Khaleel Khan Barkaati,
(13) Fakhr-Ul-Amathi Allama Muhammad Sulaiman Bhagalpuri,
(14) Maulana Abdul Haq Mubarakpuri,
(15) Maulana Mohammad Ilyaas Siyalkoti,
(16) Maulana Mufti Mohammad E’ajaaz Razawi.

Pariwaar:

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ki 4 Biwiya Aur 11 Saahabzaade Aur 4 Saahabzaadiya Hain.

(1) Kareema Khaatoon Se 4 Bete: Hakeem Shams-Ul-Huda, Maulana Mohammad Yahya, Shaikh-Ul-Hadees Allama Abdul Mustafa Azhari, Allama Ata-Ul-Mustafa.

1 Beti : Zubaida Khaatoon.
(2) Safiy-Un-Nisaa Se 1 Beti: Ra’isa Khaatoon.
(3) Raabia Khaatoon Se 2 Bete: Muhammad Ahmad, Qaari Raza-Ul-Mustafa.
(4) Hajra Bibi Se 5 Bete: Muhaddis-E-Kabeer Allama Maulana Zia-Ul-Mustafa, Muhammad, Maulana Ṡana-Ul-Mustafa, Maulana Baha-Ul-Mustafa, Maulana Fida-Ul-Mustafa.

2 Betiya: Sa’eeda Khatoon, Aa’isha Khaatoon. Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi Rahmatullahi Alaihi Ke Mureed Aur Khalifa Hain.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ke Khulfa :

(1) Hazrat Sher Besha E Ahle Sunnat Mazhar E Aala Hazrat Allama Hashmat Ali Khan,
(2) Hazrat Mohaddees-E-Azam-E-Pakistan Maulana Sardaar Ahmad Khan,
(3) Hazrat Haafiz-E-Millat Allama Abdul Azeez Mohaddees Muradabadi,
(4) Hazrat Faqeeh-E-Azam Sharah-E-Bukhari Shaikh Mufti Shareef-Ul-Haq Amjadi,
(5) Hazrat Imam-Ul-Nahw Sadr-Ul-Ulama Allama Ghulaam Jeelaani Aazmi,
(6) Hazrat Ameen-E-Shariat Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaaqat Husain Kanpuri,
(7) Hazrat Allama Muhammad Muslih-Ud-Deen Siddeeqi,
(8) Hazrat Khair-Ul-Azkiya Allama Ghulaam Yazdani Ghausawi,
(9) Hazrat Maulana Abdul Haq Mubarakpuri.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ko 1337 Hijri (1922 A.D) Mein Hajj Ki Sa’adat Naseeb Hui.

1367 Hijri Mein Ek Martaba Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Hazrat Allama Muhammad Muslih-Ud-Deen Siddeeqi Ke Saath Ahmedabad (Gujarat, India) Mein Hazrat Shaah E Aalam Rahmatullahi Alaihi Ke Mazaar Par Haazir Hue.

Shaah E Aalam Rahmatullahi Alaihi Ki Masjid Miein 2 Mubarak Takht Lagaye Hue Hain.

Jisme Se Ek Takht Par Huzoor RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wassallam Jalwa Afroz Hue The Aur Dusre Par Hazrat Shaah E Aalam Baba Tashreef Rakhte The Aur Madrasa Mein Taaleem Diya Karte The Aur Shaah E Aalam Baba Ki Dua Se In Takhto Ke Neeche 2-2 Rakat Nafl Namaz Padhkar Dua Karne Wale Ko ALLAH Ta’ala Dunya Aur Aakhirat Mein Bhalai Ata Farmata Hai Aur Har Jaayiz Dua Qubool Farmata Hai.

Dono Hazrat In Takhto Ke Niche Namaz Padhkar Dua Karke Faarigh Hue To Hazrat Allama Muhammad Muslih-Ud-Deen Siddeeqi Ne Apne Peer Se Puchha ‘Huzoor, Aap Ne Kya Dua Maangi.’

Hazrat Mufti Amjad Ali Azami (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ne Farmaya: ‘ALLAH Ta’ala Har Saal Hajj E Baitullah Ki Sa’adat Naseeb Farmaye.’

Yeh Dua Is Tarah Qubool Hui Ki Usi Saal Safar E Hajj Ke Dauran Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ka Wisal Ho Gaya.

Ek Hadees Shareef Mein Huzoor RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wassallam Ne Farmaya Hai: ‘Jo Hajj Ke Liye Nikla Aur Faut Ho Gaya To Qayamat Tak Uske Liye Hajj Ka Sawab Likha Jayega Aur Jo Umrah Ke Liye Nikla Aur Faut Ho Gaya Uske Liye Qayamat Tak Umrah Ka Sawab Likha Jayega.’

26 Shawwal 1367 Hijri Ko Aap Apni Biwi Ke Saath Hajj E Baitullah Ke Safar Par Rawana Hue.

Rawana Hone Se Pehle Aap Ne Railway Station Par Majme Ke Saamne Shaandar Taqreer Farmayi.

Phir Car Mein Safar Ke Dauran Baarish Ki Wajah Se Aap Ki Tabiyat Kharaab Hui Aur Mumbai Pahunchne Tak Aap Ko Pneumonia Ho Gaya.

Mumbai Station Par Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ka Ilaaj Shuru Kiya Gaya.

Magar Aap Be-Hosh Ho Gaye.

Huzoor Mufti E Azam E Hind Bhi Hajj Ke Liye Jaa Rahe The. Aap Lagaatar Hazrat Sadrush Shariyah Ki Iyadat Ke Liye Aate The Aur Saath Mein Bahot Saare Chahne Waale Bhi Aate.

Ek Baar Ek Shakhs Ne Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Ki Likhi Hui Naat Shareef Padhna Shuru Kiya.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azami (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ne Foran Aankhen Kholi Aur Takiye Ke Sahare Baithkar Adab Ke Sath Naat E Pak Suni.

Huzoor Mufti E Azam E Hind Aur Hazrat Sadrush Shariah Ek Saath Ek Hi Hawaai Jahaaz Mein Hajj Ke Liye Rawaana Hone Wale The.

Magar Aap Ki Bemaari Ki Wajah Se Huzoor Mufti E Azam E Hind Rawaana Ho Gaye. Uske Baad Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ki Sehat Aur Zyada Kharaab Ho Gayi Aur Aap Ka Intiqal Ho Gaya.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ka Wisaal 2 Zil Qadah 1367 Hijri (6 September 1948 A.D, 12:26 P.M) Ko Peer Ke Roz Hua.

Hazrat Mufti Amjad Ali Azmi (Sadrush Shariah) Rahmatullahi Alaihi Ka Mazaar Ghausi, Aazamgardh (Uttar Pradesh) Hai

Share your love