Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullahi alaihi

Alqaab : Shaikh-ul-Masha’ikh.

Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullahi alaihi ki wilaadat Kalpi (Uttar Pradesh) mein hui.

Aap ke waalid Hazrat Meer Sayyed Muhammad bin Sayyed Abu Saeed al-Hasani Tirmizi rahmatullahi alaihi hai.

Aap ke pardaada Tirmiz se Jalandhar aaye the. Aur phir Aap ke daada Jalandhar se Kalpi tashreef laaye the.

Aap ne apne waalid Hazrat Meer Sayyed Muhammad rahmatullahi alaihi se ibtidaai ta’aleem haasil ki.

Iske baad aap ke waalid ne apne khalifa Hazrat Afzal bin Abdur Rahmān Ilaahabadi rahmatullāhi alaihi ko Aap ki ta’aleem ke liye muqarrar kiya.

Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullahi alaihi ne un ke paas ta’aleem mukammal ki.

Ta’aleem mukammal hone ke baad aap ke waalid e mohtaram ne 24 saal ki umr mein khilaafat ata farmai aur Aap masnad par ronak afroz hue.

Aap Aaftaab-e-Hidaayat aur Maahtaab-e-Wilaayat the.
Aap bahot bade Aabid aur A’arif the aur ibaadat wa riyaazat mein kaamil aur paaband the.
Aap har amal Sunnat e Rasool ke mutaabiq karte the.
Aap ke akhlaaq o aadat apne aslaaf ke naqsh e qadam par thi.
Aap har farz namaaz ke baad ba-aawaaz e buland Kalma e Tauhid kehte the.
Aap bahot narm dil aur sakhi the.

Ek martaba Aap apne waalid ke saath Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullahi alaihi ke mazaar par ziyarat ke liye haazir hue tab Hazrat Khwaja Ghareeb nawaaz rahmatullahi alaihi ne aap ko roohaani faiz ata farmaaya.

Ek baar ek shakhs Aap ki baargaah mein aaya aur arz kiya ke “Mera dil bahot sakht ho gaya hai. Koi qareebi rishtedaar ka inteqal ho jata hai tab bhi mujhe koi ranj o gham mehsoos nahi hota. Aap mujh par apni nazr e karam farma dijiye.”

Aap ne us shakhs ke dono haath pakde aur use hilaaya magar wo usi haal mein raha.

Aap ne 3 martaba aisa kiya. Us shakhs ka dil narm ho gaya aur uski aankho se aansoo jaari ho gaye.

Jab use hosh aaya to foran wo Hazrat ka mureed ho gaya.

Tasannif:

Aap ki likhi hui mash’hoor kitaabein:

(1) Jaami-ul-Kalaam
(2) Sharah Asmaa-ul-Husna
(3) Risaala Mu’aarif
(4) Mushaahidaat-e-Soofiya
(5) Deewaan-e-Sher.

Aap ke 3 saahabzaade hain:

(1) Sayyed Shaah Fazlullah
(2) Sayyed Shaah Sultaan Maqsood
(3) Sayyed Shaah Sultaan Mahmood.

Aap (apne waalid) Hazrat Meer Sayyed Muhammad Kalpawi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Shaah Fazlullah Kalpawi rahmatullahi alaihi hain.

Aap ka wisaal 19 Safar 1084 Hijri (June 1673 A.D.) ko Jumeraat ke roz hua.

Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullahi alaihi ka mazaar Kalpi (Uttar Pradesh) mein hai.

ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe mein
Aur Hazrat Meer Sayyed Ahmad Kalpawi rahmatullahi alaihi aur tamaam Auliya Allah aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko ikhlaas ke saath nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Share your love