Agar Koi Sunni Koi Badmazhab Ke Piche Namaz Padha Raha Hai. Kyuki Uski Majburi Hai.

Kyu Ke Wo Hazar Badmazhab Mein Akela Sunni Hai. To Wo Niyat Mein? PICHE IS IMAM KE? Nahi Bolta Hai Aur Farz Namaz Ka Niyyat Karke Namaz Padhta Hai. To Uske Pichche Iska Namaz Hoga Ke Nahi?

Jawab:

Apke Sawaal Hi Mein Confusion Hai.

Jab Usne Apni Tanha Namaz Parhne Ki Niyat Ki Hai. To Ab Us Badaqeeda Ke Peeche Namaz Ka Kya TaLluq?

Baher Haal! Aisi Jagah Jahan Badmazhabo Ki Kasrat Ho, To Unki Jamaat Ke Waqt Kahin Chala Jaaye.nnIstinja, Ya Wazu Ke Bahaane Chala Jaaye.

Agar Wo Bhi Na Ho Saka, To Wahin Zameen Par Baith Jaaye Jaise Ma?Zoor Ho.

Agar Wo Apni Tanha Namaz Ki Niyat Karega, To Ruku Sujood Mein Farq Aayega.

Agar Imam Ka Intezar Karega, To Isme Wajibaat E Namaz Ke Tark Hone Ka Waazeh Khadsha Hai.

Lehaza Agar Wo Aam Insan Hai Aur Koi Bahana Bhi Nahi Kar Sakta Aur Unke Sath Khada Na Ho.nnTo Fitne Ka Andesha Ho, To Wo Begair Niyat E Namaz Hath Baandhe Khada Ho Jaaye Aur Azkaar Karta Rahe Aur Unke Sath Uthak Baithak Kar Le.

Dil Mein Zara Bhi Ye Khayal Na Laaye Ke Mai Is Imam Ki Iqteda Kar Raha Hu.

Baad Mein Apni Namaz Parh Le.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah

Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi

Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love