Mira Datar ka chilla Mein Fatiha Padhne Log Jate Hai Aur Baki Dusre Masle Bhi Le Ke Jate Hai.

Jabki Waha Unjha Sharif Ki Eit Layi Hui Hai to Kya Ye Galat Hai?nnJawab:nnUrf-E-Aam me kisi buzurg ka chilla us jagah ko kehte hain jahan us buzurg ne taweel Muddat tak ibadat o riyazat ki ho, us jaga Ma’rifat ki bahot si manzilein taye ki hon to yaadgar ke taur par us jagah ko makhsus kar dete hain.nnAur chunke wahan Allah ke ek wali ne ek zamane tak zikr o fikr kiya hai jiski waja se wo maqaam baais e khair o barkat hota hai.nnWahan log husool e faiz ke liye hazir hote hain.nnJaise pakistan ke shaher lahore shareef me Hazrat data ganj bakhsh hijweri Alaihir rahmah war Rizwan ke Mazar e pak ke qareeb Hazrat Khwaja e khwajgaan Khwaja Gareeb nawaz Moinuddin Hasan Chishti sanjari Alaihir Rahmah war Rizwan ne ek zamana tak ibadat o riyazat ki, saheb e Mazar se fuyooz o Barakaat hasil kiye to wo jaga khas kardi gayi hai aur aaj bhi log us makan se mustafeez hote hain.nnLehaza jis maqaam ke baare me waaqai ye sabit ho ke yahan Allah ke kisi wali ne ibadat o riyazat ki hai to us jagah ka ehteram us buzurg se nisbat hone ki waja se kiya jana mustahsan hai.nnAur yu hi kisi jagah ko bila suboot e sharai kisi buzurg ka chilla mash’hoor kar diya jaaye to uski koi haisiat nahi.nnBalke wo deegar jagaho ki tarah se Aam jagah hai.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love