Jawab:nn10vi Zil Hajjah, 11vi Zil Hijjah aur 12 Zil hijjah Qurbani ke baad Qibla Muh Baith kar mard Halk kare yaani tamaam sar mundaye ki Afzal hai.nnYa Baal Katrawaaye ki Rukhasat (Chhut) hai.nnAurat ko Baal Mundana Haraam hai. Ek Pora Barabar Baal katrawade.nnBalki khud Apne baal Ek pora barabar kaat de. Mufrid Agar qurbani kare, to uske liye mustahab hai ki qurbani ki jab bhi haraj nahi Aur tamatto Wa Kiran waale qurbani ke baad halk karna wajib hai.nnYaani agar Qurbani se pahle sar mundayega, to dam wajib hoga.nnBaal katrawaye to sar me jitne baal hai.nnUnme ke chauthai 1/4 baalo me se katrwaana jaruri hai.nnYaani sar ke har-har baal se chauthai hissa baal katrwaana jaruri hai.nnLehaza Ek pore se jyaada katrawaaye ki Baal chote bade hote hai.nnMumkin hai ki chauthai baalo me sab Ek-Ek porna na kate, Sar mundane, ya baal katrawaane ka waqt Ayyam E Nahar hai.nnYa’ani 10,11,12 Aur Afzal pehla din Ya’ani 10vi Zil hijjah.nnAalamgeerinnBahare sharee’at Hissa 06 Safa 85nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????