Hajj e badal ki niyat kaise kare?

Aur india se umrah ka ihram bandhte waqt niyat kaise kare.

Ya hajj ka ihram Bandhte Waqt niyat kaise Kare?

Jawab:

Jiski janib se hajj e badal kar raha hai us par hajj farz hai, to India hi se hajj ki niyat karein, jise ifraad kaha jata hai.

Aur Niyat yu karein ke:

Aye Allah mai Falaan ki janib se hajj ki niyat karta hu, tu ise Mere liye asaan farma aur fulaan ki taraf se qubool farma.”

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love