Masjid E Nabvi Sharif ki Hazri se pahle Tamaam Jaruriyat se jinka lagaav dil batne ka baais (sabab) ho nihayat jald faarig ho.
Unke siwa kisi bekaar bato mein mashgul na ho, fauran wazu wa Miswaq karo aur Ghusl behtar hai.
Safed Paakiza kapde pahno Aur naye behatar hai.
Surma Aur khusbu lagao aur Mushq Afzal hai.
Ab Aastana e Aqdas ki Nihayat khushu wa khuzu se mutawajjh ho.
Rona Na Aayein to rone ka muh banao Aur dil ko joor se Rone par Laao Aur Apni Sang dili se Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf iltija karo.
Jab masjid e Nabvi sharif ke darwaje par haazir ho.
Salaat (Darood) wa Salaam Arz karke thoda tharo jaise Sarkar E do Aalam Sallallahu Alaihi Wasallam se haziri ki izazat maangte ho.
Phir bismillah kah kar seedhaa paanv pahle Rakh kar khub adab ke saath daakhil ho.
Us waqt jo Adab wa taazim farz hai har musalman ka dil jaanta hai.
Aankh, kaan, jabaan, haath, paanv, dil, sab gair ke khyaal se paak karo masjid e Aqdas ke Naksh wa Nigaar na dekho.
Agar koi Aisa Saamne Aaye jisse salam kalaam jaruri ho.
To jaha tak bane katra jaao warna jarurat se jyaada na badoh phir bhi dil sarkar hi ki taraf ho.
Hargiz-Hargiz masjid e Aqdas mein koi Harf (Baat) Chilla kar na kaho.
Bahare sharee’at Hissa 06 Safa 136
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi