Jo Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Qabr E Anwar ko Ziyarat kare

Uske liye kua Hukm hai?

Us ke Liye Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shfa’At Wajib hai.

Uske liye Aisa hai Jaise meri Hayaat (zindagi) mein ziyarat se musharraf huwa.

Allah Ta’Ala Quran Sharif mein irshad Farmata hai.

Tarjama: Agar Log Apni Jaano par Zulm karein Aur Tumhare Huzoor Hazir Ho kar Allah se Magfirat Talab karein Aur Rasool bhi Unke liye istigfaar karein to Allah Ko Tauba kabul karne waala Raham karne wala paayenge.

Hadees: Daaraktuni qa baihaki wagairhuma Abdullah Ibne Umar RadiAllahu Taala Anhu se Raavi ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

Jo meri Qabr ki ziyarat karein Uske liye meri Shafa’At Wajib hai.

Hadees: Tabraani kabir mein unih se Raavi ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

Jo meri ziyarat ko Aayein Aur wah Siwa meri ziyarat ke Aur kisi kaam se na Aaya to mujh par haq hai ki qayamat ke din unka Shafi’a banu.

Hadees: Daarakutuni wa Tabraani unhi se Raavi ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya jisne hajj kiya Aur meri Wafa’At ke baad meri Qabr ki ziyarat ki to Aisa hai jaise meri Hayat (Zindagi) mein Ziyarat se Musharraf huwa.

Hadees: Baihaki ne haatib  se Riwayat ki ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

Jisne mere Wafa’At ke baad meri ziyarat ki to goya usne meri zindagi mein ziyarat ki Aur Jo Harmain mein marega qayamat ke din Aman waalo mein Uthega.

Hadees: Baihaki hazrate Umar RadiAllahu Taala Anhu se Raavi ki Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ko main ne Farmate suna jo Shakhs meri Ziyarat karega qayamat ke din main uska Shafi’a Ya Shahid (gawaah) hoga Aur Jo Harmain mein marega Allah Ta’Ala use qayamat ke din Aman waalo mein Uthayega.
Bahare shariat Hissa 06 Safa 135,136

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love