Ek Shakhs ki Walida Ka Inteqal Ho Gaya Subha

Aur Raat Main Uske Rishtedar Ke Yaha Nikha Se Ek Deen Phele ki Dawat Thi. Jo Ki Dhulhe Aur Gharwalon ne Aapne Doston aur Ahbab Ko Di Thi Jisme Sirf Gents Shameel The Aur DJ Party Jaisa Ek Chota Program Kiye.

Ab Jinki Walida Ke Inteqal Hua Tha Use un Logon se Ristedaari Khatam Kardi Hai aur Jo Dusre Log Hai Unse Kaha Hai ki Agar Humse Rishta Rakhna Hai Toh Maafi Nama Likh Kar Do aur Un Logo se Rishta Tod Do.

Dono khandan Ke Bich Sulah Ka koi Rasta Nahi Dikh Raha Hai.

Sawal Ye Hai Ki:

1) Jiski Walida Ka Inteqal Hua Usko Rishtedaron Ko aur Digar Mehmano ko Gum Main Rehne Ka Hukum Dena Kaisa?

2) Jisne Yeah Party Ki Uska Yeah Khena ki 90 se Zyada Umar Ho Gayi thi. Aab kya Hamare Ghar Main Ussi ke Shok Main Dubbe Rahe Ge, Ya Hamare Bachho ki Shaadi ki Khushi Manaye?

3) Ab Jabki Kuch Log Usme DJ Party ke Khilaf The Aur Party Main Sirf Dawat ki Niyat se Gaye The, Na ki DJ Party Karne un par Shariyat ka kya Hukm Honga?

Rehnumaye Farmaye.

Jawab:

1) Gam o Sog ke Liye Apne Rishtedar Se Kehna jaayez hai.

2) Aisa Kehna Hargiz Jaayez o Durust Nahi Ke Jisse Ek Musalman Bhai ke Dil ko Thes Pohche, Kehne Wala Mayyat ke Ghar Walo se Muafi Maange.

3) Sawal se Zaahir Hai ke wo Mauj Masti ki Mehfil thi Aisi Mehfil hi Jaayez Nahi.

Lehaza us Naach Gaane ki Party me Koi Sirf khane Gaya to wo Bhi Makhooz Hoga.

Sab Par taubah Lazim hai.

Wa-Allahu Ta’ala A’lam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love