Waada Kar Ke Pura Na Karna Aur Waada Khilafi Karne Ka Kya Hukm Hai?

Jawab:nnDeen e Islam Ne Apne Manne Waalo Ko Jhoot Bolne Se Mana Kiya aur Sach Kehne Ki Takeed Ki Hai.nnJis Tarah Jhoot Bolna Bura Hai.nnUsi Tarah Jhoota Amal Bhi Bura Hai Aur Us Ki Mumaana’at Aayi Hai.nnJis Tarah Qaul (Baat) Ki Sachchaai Matloob Hai.nnUsi Tarah Amal Ki Sachchaai Bhi Matloob Hai.nnWaada Khilaafi Amali Jhoot Me Shumar Hota Hai Aur Waada Pura Karna Amali Sidq (Sachchaai) Kehlata Hai.nnIslam Me Badi Takeed Ke Sath Ahed Ko Pura Karne Ka Hukm Aur Ahed Shikni Ki Mazammat Hai.nnLehaza Quran e Majeed Me Allah Ta’ala Ka Irshad Hai.nn?????? ?????? ?? ????? ??? ??????nnMaf’hoom: Ahed Ko Pura Karo, Kyu Ke Qiyamat Ke Din Ahed Ke Baare Me Insan Jawab Deh Hoga.nnQuran Ne Un Logo Ki Tareef Ki Hai, Jo Apne Ahed Ka Paas o Lehaaz Rakhte Hain.nnIrshad e Baari Ta’ala Hai.nn?????? ?? ????????? ????? ?????nnAur Jo Log Apni Amaanato Aur Apne Waado Ki Paasdari Karne Waale Hain.nnKhud ALLAH Tabaarak Wa Ta’ala Ne Apni Sifat Ka Kai Jagaho Par Zikr Farmaya Hai Ke ALLAH Waada Khilafi Nahi Farmata.nnRasoolullah ? ne Apne Irshadat Ke Zariye Bhi Ifaa e Ahed ki Ahmiyat Aur Waada Khilafi Ki Buraai Bayan Farmayi Hai.nnYahan Tak Ke Huzoor ? ne Munaafiq Ki Nishaaniyo Me Se Ek Nishani Waada Khilaafi Bataaya,nnHadees e Paak Me Hai Rasoolullah ? ne Farmaya:nnMunafiq Ki 3 Alaamate Hainnn? Jab Baat Kare To Jhoot Bolen? Jab Waada Kare To Khilaf Warzi Karen? Aur Jab Us Ke Paas Amaanat Rakhwaai Jaaye To Usme khayaanat Kare.nnMuslim ShareefnnWaada khilaafi Ko Huzoor ? Ne Nifaaq Ki Alaamat Me Shumar Farmaya.nnIs Se Andaza Kiya Ja Sakta Hai Ke Waada Khilafi Kis Qadr Mazmoom Baat Hai.nnYe Niyat Ki Baad Diyaanati Ka Aur Jhooti Niyat Ka Nateeja Hai.nnKyu Ke Admi Gunahgar Us Waqt Hai, Jab Waada, Ya Ahed Karte Waqt Us Ki Niyat Hi Wafa Ki Na Ho, Ya Baad Me Wafa Ki Niyat Par Qayam Na Rahe.nnAgar Niyat Waada Wafa Karne Ki Hai.nnMagar Halaat Ke Hatho Be Ikhtiyaar Hone Ki Waja Se Waada Wafa Na Kar Saka, To Us Par Muaakhza Nahi.nnWaada Khilafi Ek Akhlaaqi Jurm Bhi Hai Aur Shar’an Bhi.nnAllah Ta’ala Hame Waada khilaafi Se Mahfooz Farmaye.n???? ???? ???? ???????? ?nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love