Muharram Ul Haram Mein Jo Log Mannat Rakhte Hai

Fruit Ki Mannat. Agar Wo Mannat Puri Na Ho, To Kya Karna Chahiye?

Kya Youm E Ashura Ke Din Fatiha Dilwa Kar Wo Fruit Khana Shuru Kar Sakte Hai?

Ye Unki Mannat Khud Ke Ghar Ke Liye Hai.

Muharram Sharif Mein Jahan Per Panjatan E Paak Hote Hai Wahan Ja Kar Mannat Karte Hai.

Wahan Per Jo Log Hote Hai Wo Jo Fruit Denge Wo Fruit Jab Tak Mannat Puri Nahi Hoti Tab Tak Nahi Khate Hai.

Mannat Puri Hone Per Wo Fruit Le Kar Muharram Sharif Mein Wahan Ja Kar Pesh Karte Hai.

Jaise Agar Wahan Per Moujud Khadim Ya Munawar Jo Bhi Hote Hai Wo Agar Banana Dete Hai.

To Mannat Puri Hone Tak Wo Fruit Ko Nahi Khate Hai.

Jab Mannat Puri Ho Jayegi Pehle Wahan Ja Kar Pesh Karte Hai Aur Phir Khud Khate Hai

Jawab:

Ye Mannat e Sharai nahi Aur Shariat ne kisi Halal cheez ko khane se kabhi mana nahi kiya siwa e roze ki halat ke.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love