Koi Muslim Ladki Bank Mein Naukri Kar Sakhti Hai. Agar Kar Sakhti Hai, To Shariyat Ki Kis Hadd Tak.

Jawab:

Agar Aurat Ki Kifaalat Karne Waala Koi Nahi Hai.

To Aurat Khud Koi Jaayez Kaam Kar Sakti Hai.

Magar Uske Liye Kuch Shartein Hai.

1) Kapde Bareek Na Ho Jinse Sar Ke Baal, Ya Kalaai Wagaira Koi Satr Ka Hissa Chamke.

2) Kapde Tang Aur Chust Na Hon, Ke Jo Badan Ki Haiat Zaahir Karein.

3) Baalo, Ya Gale, Ya Pait, Ya Kalaai, Ya Pindli Ka Koi Hissa Zaahir Na Hota Ho.

4) Kabhi Naa Mahram Ke Sath Thodi Der Ke Liye Bhi Tanhaai Na Hoti Ho.

5) Uske Wahan Rehne Ya Aane Jaane Mein Fitne Ka Koi Andesha Na Ho.

Ye 5 Shartein Agar Jama Ho To Kaam Karne Mein Harj Nahi Aur Agar Inme Se Ek Bhi Kam Hai To Kaam Karna Haraam.

Aur Agar Shauhar Raazi Hai, Ya Apni Qudrat Ki Miqdar Bandobast Nahi Karta.

To Shauhar Par Bhi Ilzaam Aur Agar Wo Qudrat Bhar Kaam Karta Hai.

Magar Phir Bhi Sahi Bandobast Nahi Ho Paata, To Us Par Ilzaam Bhi Nahi.

Wa-Allahu Ta?ala Alam

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love