Har koi Sona kharidne par qadir nahi.
To aise log apne ghar ki mastoorat ko nakli zewar laa dete hai, ke rishtedaro ki shadi wagerah mein bhi jana padta hai.
Mastoorat sharminda naho isliye kya islam mein iski ijazat hai.
Ghar mein khwateen nahi pehenti, magar kahi jana ho to pehenti hai.
Kya hukum hoga.
Jawab:
Aurato ke liye Sone Chandi ke ilawa kisi dosre dhat ke bane hue zewaraat pahenna jaayez nahi.
Is zamane mein chandi ke zewaraat zyada mahenge nahi hote.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi