To Ab Gusl kab karein?
2) Ab pehle bachche mein 30 din ruka tha, doosre bachche mein 25 din mein ruka to Gusl kab karein?
3) Aur agar 35 din mein ruka, to Gusl kab karein?
Teesri soorat mein jab ke pehle bachche mein aadat 30 din ki thi aur ab 35 din mein ruka,
Toh nifas 30 din ka hoga ya 35 ka?
Gusl 30 din per karna hoga ke 35 din pe?
Jawab:
Chunke teeno surato mein khoon 40 din se pehle hi ruk gaya.
Lehaza jab bhi khoon ruka wo pura nifas kehlaayega.
40 din se pehle khoon band ho gaya, to jitne din mein khoon ruka wo pure din nifas ke maane jaayenge.
Agarche is se pehle nifas 30 din tha aur ab 35 hua, to ye 35 din nifas ke maane jayenge.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi