Agar Biwi Rozana Apni Behno Se Ghanto Phone Par Baat Kare To Shauhar Use Rozana Baat Karne Se Mana Kar Sakta Hai?

Isi Tarah Shauhar Apni Biwi Ka Mobile Fitne Ke Andeshe Ki Waja Se Le Sakta Hai? Aur Apne Mobile Se Baat Karaye To Ye Jayez Hai?

Jawab:

Aurat Par Sab Se Zyada Haq Uske Shauhar Ka Hai.

Lehaza Fitne Ke Andeshe Ki Waja Se Wo Apni Biwi Ko Us Ki Behno Se Rozana Ghanto Baat Karne Se Mana Kar Sakta Hai.

Aur Biwi Par Lazim Hai Ke Wo Apne Shauhar Ka Hukm Maane Aur Us Ki Baato Par Amal Karein.

Agar Biwi Mukhalifat Karein Ya Is Bina Par Talaq Ka Mutaalba Karein To Wo Gunahgar Hogi.

Shauhar Ko Chahiye Ke Wo Narmi Ke Sath Apni Biwi Ko Samjhaayein Aur Zarurat Ke Waqt Biwi Ke Ghar Waalo Se Baat Karaaye.

Aurat Ke Paas Mobile Dena Zaruri Nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love