QABRISTAN ME ABHI JO RASTA ZIMMEDARO NE BANA RAKHA HAI PEHLE WAHA PAR BHI KABRE THI

KUCH SALO PAHLE. MAGAR AB WAHA RASTA HAI OR USSE GUZAR KAR HI MAYYAT KO DAFNA NE KE LIYE LE JANA PADTHA HAY.nnUS RASTE PAR CHALNA KAISA HAI.nnJawab:nnAgar Waaqai jo naya Raasta banaya hai, wahan Qabrein thi.nnAgarche bahot purani aur boseeda, to wo raasta banana, najaayez o haraam hai.nnUs par chalna firna, Baithna, sona, Namaz e Janaza parhna Jaayez nahi.nnKyuke us raaste par chalna firna, Namaz wagaira parhna dar asl Qabr par chalna firna, Namaz wagaira parhna hoga.nnHadees Shareef me hai Rasool e Akram ? farmaate hainnn“Mujhe Aag ya Talwaar par chalna Qabr par chalne se zyaada pasand hai”.nnIbn e MaajahnnHuzoor Sadrushshariah Badruttariqah Allama Muhammad Amjad Ali Alaihir Rahmah war Rizwaan Farmaate hain.nn“Qabristan me jo Naya Raasta nikala gaya usse guzarna Na Jaayez hai Khwaah naya hona use Ma’loom ho ya uska Gumaan ho”.nnBahar e Shariat BaHawaala Alamgeeri o Durr e MukhtarnnJab Qabristan me naye Raaste ka sirf Gumaan hone par is par chalna firna, uthna, baithna jaayez nahi.nnTo jis Raaste ke baare me ye yaqeen ho ke ye Qabro ko Mismaar karke banaya gaya, to us par chalne firne baithne wagaira par kis Qadr sakht Hukm hoga.nnLehaza jo naya raasta Qabro ko mismaar karke banaya gaya hai, use hargiz istemal na kiya jaye.nnWa-Allahu Ta’ala A’lamnn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love