Muqtadi Dua E Qunoot Se Farig Na Huwa Tha Ki Imam Ruku Mein Chala Gaya

To Ab Kya Hukm Hoga Muqtadi Par?

Jawab:

Muqtadi Imam Ka Saath De.

Masala: Qunoot Wa Witr Mein Muqtadi Imam Ki MutaabaAt (Pairvi) Karein.

Agar Muqtadi Qunoot Se Farig Na Huwa Tha, Ki Imam Ruku Mein Chala Gaya.

To Muqtadi Imam Ka Saath De.

Aur Agar Imam Ne Be-Qunoot Padhein Ruku Kar Diya Aur Muqtadi Ne Abhi Kuch Na Padah Tha.

To Muqtadi Ko Agar Ruku Faut Hone Ka Andesha Ho Jab To Ruku Kar De.

Warna Qunoot Pad Kar Ruku Mein Jaayein Aur Us Khaas Dua Ki Haajat Nahi.

Jo Dua-E-Qunoot Ke Naam Se Mash-Hoor Hai.

Balki Mutlakan Koyi Dua Jise Qunoot Kah Sake Pad Le.

(Aalamgeeri Wa Raddul Muhtaar)

Bahar-E-ShariAt Hissa 04 Safa 08

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love