Agar Namaz Padte Waqt Samne Aina Ho Jisme Apna Shakal Wagaira Sab Dikhta Hai

To Kya Namaz Ho Jayegi Or Agar Namaz Padte Waqt Apna Mobile Pars Wagaira Samne Niche Rhakte Hai.

To Aaj Kal Mobile Itna Shaining Hota Hai Ke Usme Apni Shakal Achche Se Dikh Jati Hai.

To Kya Isse Bhi Namaz Ho Jayegi Or Agar Ab Tak Jo Aisa Namaz Padhe Hai. To Kya Wo Sab Namaz Hui Hogi Ya Nahi?

Jawab:

Aaine Mein Apni Shakl, Ya Kisi Ki Shakl (Aks) Nazar Aayein, To Is Se Namaz Faasid Nahi Hogi.

Haan Agar Is Ki Wajah Se Namaz Mein Khalal Ho.

Yaani Zahen Bhatke, To Karaahat Hogi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love