Sehri ka waqt jaise 4.33am ka hai aur fauran sehri ka waqt khatam hote hi shafai masjid ki fajr ki azaan hoti hai.

Iss surat mein agar azaan ho rahi ho aur pani wagaira pee liya to kya roza ho jayega?

Jawab:

Subah e sadiq Yaani Fajr ka waqt shuru hone se pehle tak sehri ki ja sakti hai.

Ehtiyaatan 10 minute pehle khaane peene se faarig ho Jaayein.

Agar Azan Fajr ka waqt shuru hone par hoti hai to us waqt agar khaya piya to roza Na Hua.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love