Roze ke Mutalliq Najayez bole jane wale Alfaz. Jo haraam hain.

(1) Mera Roza na hota to batata,nn(2) Tumhe Roza to nahi lag raha,nn(3) Ya yu kehna mujhe Roza lag raha hai,nn(4) Aaj to Roze ne halat buri kardinn(5) Kab khule ga roza,nn(6) Roze me kuch to pine ya khane ki izazat honi chahiye thi,nn(7) Roze me teri shakal kaisi nikal ayi hainnYad rakhiye Roza Farz ibadat hai AurnnQuran E Majeed me hainn“Hume tumhari” Bhook aur Piyas ki zarorat nahi ikhlas ki zaroorat hai.nnPlz give respect to Ramzan ShareefnnHazrat kya ye msg jo baatein bataayi gayi hai use kehna HARAAM hai ?nnRehnumayi farmayein.nnJawab:nnBila wajah pareshani zahir karne me karaahat to hai.nnMagar inme se kisi jumle se hurmat sabit nahi hoti.nnHaan kuch jumle sakht hain jaise roze kuch khane ki ijazat honi chahiye thi, ye jumla sakht hai.nnIske ilawa kisi jumle se itna sakht hukm nahi lagega .nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love