Roze ke makroohat ka bayan

Hadees? Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T?aala anhu se Riwayat hai ke Rasoolullah sallallaahu t?aala alaihi wasallam ne farmaya ?JO BURI BAAT KEHNA AUR USPAR AMAL KARNA NAHI CHHOODE TO ALLAH T?aala Ko Uski Kuch Hajat Nahin Ke Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai.nn(BUKHARI ,TIRMIZI SHARIF)nnHadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t?aala anhu se Riwayat Hai ke Rasoolullah sallallaahu t?aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad farmaya ?roza Uska naam Nahin ke khaane peene se baaz Rehna ho roza to ye hai ke bekaar aur behooda baaton se bacha jaaye.nn(Haakim)nnMasla: Jhoot, Geebat, Chugli, Gaali dena Behooda baat kisi ko takleef dena ke ye cheezein waise bhi na jaayez-o-haraam hain.nnRoze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Mein karahat Aati hainnMasla: Roza dar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.nnMasla: Chakhne ke liye uzr ye hai ke maslan kisi aurat ka shouhar bad-mijaaz hai ke namak kam wa zyaada hoga to naraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.nnMasla: Chakhne ke wo maana Nahin ke jo aaj kal aam rivaaj hai. Yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena ke Yu to karahat kaisi Roza hi toot jaayega.nnBalki kaffara ke sharait Paaye jaayein to kaffara  bhi Lazim hoga.nnMasla: Chakhne se murad ye hai ke zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Roza Toot jayega.nnMasla: T.V dekhna, Cricket, Badminton, mobile aur computer game, carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jayez-o-gunah hai.nnRamzan sharif Mein aur sakht gunah aur isse Roza Bhi makhrooh hota hai.nnMasla: Gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.nnMasla: Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin. Balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.nnMasla: Roze Mein manjan, toothpaste wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Roza toot gaya.nnMasla: rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.nnMubaalga karne ke ye matlab hai ke bhar munh paani le.nnMasla: Thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh Nahin.nnMasla: Munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai.nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Dilshad Ahmed Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love