Kya Islam Mein Khatna Karwana Zaruri Hai?

Agar Hai To Kitna Umar Mein Karwana Chaiye Aur Khatne Ke Bare Mein.

Hamare Aaqa Salallahu Alaihi Wasallam Kya Farmate Hai?

Jawab:

Khatna Sunnat Hai Aur Ye Shiyaar E Islam Mein Hai Ke Muslim Aur Gair Muslim Mein Isse Imtiyaaz Hota Hai.

Isi Liye Awaam Mein Ise Musalmaani Bhi Kehte Hain.

Sahih Bukhari O Muslim Mein Abu Huraira Radi-Allahu Taala Anha Se Marwi Ke Rasoolullah Ne Farmaya Ke:

Khaleelullah Alayhis Salaatu Wassalam Ne Apna Khatna Kiya Us Waqt Unki Umr Shareef 80 Baras Ki Thi.

Khatna Ki Muddat 7 Saal Se 12 Saal Ki Umr Tak Hai Aur Baaz Ulama Ne Ye Farmaya Ke Wiladat Se 7we Din Ke Baad Khatna Karna Jaayez Hai.

Khatna Karaana Baap Ka Kaam Hai.nnWo Na Ho, To Uska Wasi, Uske Baad Dada, Phir Uske Wasi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love