Agar Kisi Ke Paas Chandi Naho

Sirf Sona Ho Aur Nisab Se Kam Ho (Maslan 4 Tola Ya 6 Tola) Or Kuch Rupaye Bhi Ho (2-4 Hazar).

To Kya Uspe Zakat Farz Hogi Or Agar Sirf Rupaye Ho To Kitne Rupaye Par Zakat Farz Hai.

Jawab:

Kisi Ke Paas Sona Aur Chaandi Hai.

Agar Dono Nisaabein Hain, To Ye Zuroori Nahi Ke Sone Ko Chaandi, Ya Chandi Ko Sona Qaraar De Kar Zakat Ada Karein.

Balke Har Ek Ki Alaheda Wajib Hai.

Agar Dono Mein Se Koi Bhi Ba Qadre Nisaab Nahi To Sone Ki Qeemat Chandi, Ya Chaandi Ki Qeemat Ka Sona Farz Kar Ke Milaaye.

Agar Sone Ki Qeemat Ki Chaandi, Chaandi Mein Milaaye To Nisaab Ho Jaati Hai Aur Chaandi Ki Qeemat Ka Sona Mein Milaaye To Nahi Hoti.

Ya Bil Aks (Is Ka Ulta ,To Waajib Hai Ke Jis Se Nisaab Poori Ho Wo Kare).

Isi Tarah Agar Kisi Ke Paas Sona Chandi To Nahi.

Magar Jama Shuda Paise Hain, To Un Paiso Ki Nisab Bhi Sona, Ya Chandi Met Se Jis Se Ho Jaaye Wo Saahib E Nisaab Hoga Aur Saal Guzarne Par Us Par Zakat Farz Hogi.

Waazeh Rahein Ke Jama Shuda Paise Bhi Sona Chaandi Ke Hi Hukm Mein Hain.

Lehaza! Chandi Sona Aur Rupiya Milakar Jiska Nisaab Bane Chandi Ke Aetbaar Se Bane To Zakat Ada Ki Jayein.

Ya Sone Ke Nisaab Ko Pahuche To Sone Ke Aetbar Se Diya Jaayein.

Khalis Rupiye Jo Sone, Ya Chandi Ke Nisaab Ki Qimat Ko Pahuch Jaayein Uski Zakat Hai.

Nisaab Se Kam Mein Zakat Nahi.

Aap Usme Sadqa De Sakte Hai.

Sadqa Dene Ke Liye Nisaab Ka Hona Zaruri Nahi.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love