Kya Zakat Ke Paise Kisi Darul Uloom Ya Qabrastan Ya Yateem Khaane

Mein Dekar Wahan Apne Marhumeen Ke Isal E Sawab Ki Naam Ki Takhti Lagwa Sakte Hain?

Jawab:

Zakat Dene Wale Ko Chahiye Ke Wo Zakat Ki Raqm Ke Ilawa Bhi Isal E Sawab Ke Liye Kuch De De.

Warna Heela E Sharee Karne Wala Asl Mustahiq Hai.

To Usi Ke Naam Ki Takhti Munasib Hai.

Kyuke Muzakki Ko Zakat Dene Ka Sawab Aur Jis Se Heela E Sharee Karwaye Us Ko Sadqe Ka Sawab Hai.

Darul Uloom Mein Dene Wala Asl Mein Wo Faqeer Hai Jis Ne Heela E Sharee Kiya.

Phir Bhi Agar Muzakki, Ya Muzakki Apne Rishte Daar Mein Jis Ke Naam Ki Takhti Lagaye Harj Nahi Hona Chahiye.

Lekin Munasib Nahi Maloom Hota.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love