aur wo shakhs itni fees bharne ki qudrat nahi rakhta hai. To Kya Zaid usse Zakat ka malik bana de fir wo fees bhare aisa kar sakta hai?
Jo Maangne aaya hai shakhs Uski niyat is paiso se School, ya Tution ki fees bharna hai.
To aisa karna kaisa? Kya aise Dunyavi taleem ke liye Zakat ka istemal karna sahi hoga?
Jawab:
Agar wo shakhs waaqai Mustahiq e zakat hai, to use zakat ki raqam ka malik bana kar us par qabza de dene se zakat zarur ada ho jaayegi.
Ab wo un paiso jis jagah chahe kharch karein.
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi