Par inki choti behen hai jo panchvi hai uska nikah Sayyed se hua hai 15 saal pehle.nnAb ye hai ke jisse shadi hui hai uski halat bohot khasta hai Kuch saalo se.nnItni kharab chal rahi hai ke ghar me faake guzar rahe hai.nnAb isme Use ghar chalana hai, school fees, tution fees (3 bachho) ki .nnZaid ka Sawal ye hai ke wo 4 Bhai Behen Aur unki Ammi Zakat Har Saal nikalte hai.nnIs baar bhi nikal rahe hai aur Unki behen ko agar ye rakam mil jaye to uski Bachho ki school ki fees Kitabe aur ghar ka Rashan aa Jayega.nnPar vo is mas’ale se nahi de rahe ke Sayyad ko Zakat nahi de sakte hai.nnTo is soorat e Haal me kya kiya jaye.nnJisse Zaid ka Zakat Bhi ada ho aur uski behen ki pareshani hal hojaye.nnHuzur rehnumai farmayennJawab:nnMazkoora surat me jab ke apki bahen Waaqai Mustahiq e zakat hainnTo aap apni bahen ko zakat de sakte hain.nnKhayal Rahe ke Zakat ki raqam ka Malik aap apni bahen ko hi banayein.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????