Hazart Kisi Ke Paas 150000 Dedh Laakh Rupaye Hoon Aur Woh Mumbai Me Hi Itna Paise Par Deposit Dekar Rent Par Rahta Ho

Aur Kaam Karta Ho Jis Se Ghar Ka Kharcha Chalta Hai.

Agar wo Log Us Deposit Ke Paise Ko Kahin Kharch Karte Hain to Be Ghar Ho Jayenge.nnGaaon Mein Zameen Hai Magar Us Se Abhi Koi Wasta Nahi.

Kya Is Surat Mein Zakat Nikalni Hogi Use Rehnumayi Farmaye.

Jawab:

Aam Taur Par Mumbai Mein Jo Deposit Diya Jata Hai wo Ba Taur e Qarz Hota Hai, Ke Lene Wala Use Iste’mal Karta Hai.nnIs Surat mein Us Raqam par Deposit Dene Waale Ko Zakat Laazim Hogi.

Agar Itni Qudrat Nahi Hai Ke Uski Zakat Nikaal Sake.

To Deposit ki Hui Raqam Waapis Milne Par Har Saal Ki Jod Kar Zakat Nikaale.

Jaise Ke Pehle Saal Derh Laakh Ke Hisaab se uske Baad Usse Utni Raqam Kam Karke Jitni Zakat Nikalti Ho.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love