Ek Family Mein Ek Beta, Ek Beti aur Miya Biwi Hai,

Un Ke Paas Rehne Ke Liye Khud Ka Ek Ghar Hai, Us Ke Ilawa Do Choti Property Bhi Hai.nnLekin wo Property Unhone Apne Bete ki Shaadi Aur Us Ke Liye Ghar Kharidne Ke Liye Rakhi Hai.nnHazrat To Kya us Property pe Zakat Ada Karni Hogi Aur Agar wo Property Bhade Pe De to Kya Bhade pe Zakat Dena Hoga.nnHazrat Ek aur Sawal, unki Beti ki Shadi Kuch Mahine Baad Hai.nnKisi ne Unki Beti ko Kuch Sone ke Zewar Tohfe Mein Diye Hai, To Kya us Per Bhi Zakat Ada Karni Hogi.nnUnke Paas Kuch Cash Bhi Hai Jo Unhone Apni Beti ki Shadi ke Liye Bacha ke Rakhe Hai.nnKya Uspe Bhi Zakat Deni Hogi.nnHazrat Rehnumai Farmaye Jazakallah.nnJawab:nn1) Agar Property Bechne Ki Niyat se Rakhi Hai. To Us Property ki Qeemat Par Zakat Hogi Aur Kiraaye Par Dene Ki Niyat se Khareedi to us Property Par Zakat Nahi.nnHaan! Jo Kiraaye Ke Paise Aayenge aur Saal Mukammal Hone Par Jitni Raqam Bachegi us Par Zakat Hogi.nnAgar Malik e Nisab Ho.nn2) Beti ko Jo Zewaraat Mile Hain, Agar Uski Qeemat Nisab ko Pahochti Hai. To Us Par Bhi Zakat Farz Hai.nn3) Jo Paise Jama Rakhe hue Hain, Agar Wo 612 Gram Chandi Ki Qeemat Ke Barabar, Ya usse Zyada Hoon to Us Par Bhi Zakat Hai.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love