Kin Logo Ko Zakat Dena Jaayez Nahi?

Jawab:

Jin Logo Ko Zakat Dena Jaayez Nahi Unmein Se Kuch Yeh Hai.

1) Maaldar: Yaani Woh Shakhs Jo Malik e Nisab Ho.

2) Bani Hashim: Yaani Hazrat e Ali, Hazrat e Jafar, Hazrat e Aqeel Aur Hazrat e Abbas wa Haris Bin Abdul Muttalib Ki Aulad Ko Dena Jaayez Nahi.

3) Apni Nasl Aur Fara: Yaani Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani Wagairah Aur Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi Ko Zakat Dena Jaayez Nahi.

4) Aurat Apne Shohar Ko Aur Shohar Apni Aurat Ko Agarche Talaq De Di Ho Jab Tak Ki Iddat Mein Ho Zakat Nahi De Sakta.

5) Maaldar Mard Ke Na-Baligh Bachche Ko Zakat Nahi De Sakta Aur Maaldar Ki Baligh Aulad Ko Jabki Malik e Nisab Na Ho De Sakta Hai.

6) Wahabi Ya Kisi Doosre Murtad Bad-Mazhab Aur Kafir Ko Zakat Dena Jaayez Nahi.

Share your love