Ek bachha Jo engineering ki padhai Kar Raha Hain aur 2nd year mein Hain. Uski fees bharne ke liye Intezam na hone par Bank ki loan ki talash main hain.nnPichhle saal bhi humne 20000 ki madad ki thi lautane ki ummid se Lekin woh 10000 hi lauta shake Hain.nnUnke ghar ki maahvar income Kareeb 30000 Hain aur ek makan Hain Jo loan pe Hain.nnKisi Tarha ke bure ya najayez kharche nahin Hain nahi koi galat sohbat, ya aadat Hain.nnKya agar woh shahib e maal nahi ya utna cash, ya gold, ya silver naho ke woh zakat ke dayre main aaye.nnKya hum unhe zakat ke fund se madad kare shakte Hain.nnHalaki woh zakat Lena nahin chahte. Nadamat ki vagah se. Ya fir unhe Bina kahe hum zakat de de.nnJawab:nnJo bhi kamaai hai usme se kuch bachta nahi.nnYaani Kharch ho jata hai aur Itna maal bhi nahi jo Nisaab tak pohche, to wo zakat ka haqdar hai.nnUse zakat ki niyat se paise diye ja sakte hain.nnAgarche use Na bataye ke ye zakat hai.nn??????????????nKhalifa e Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi AmjadinKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????