Ashura Ke Din Kya Karna Chahiye

Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi RadiAllahu Taala Anhu Farmate Hai:

10 muharram ashura ke din khichdaa pakaa kar Hazrat Imam e aali maqaam imam Hussain RadiAllahu Taala Anhu ki fatiha karein.

Is tareekh yaani 10 muharram ashura ko ghusl karein to tamam saal beemariyon se amaan main rahega.

Kyuke is din (Ashura) ZAM-ZAM ka paani tamam paniyon main pohonchta hai.

Tafseer Rohul Bayan, V:4, Page:142nIslami Zindagi, Page: 93

AHADEES KA MAFHUM

Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya:

Jisne Ashura ke din Apne Ahle o Ayaal Par Kharch Karne Mein Kushaadgi (Faraakhi..Wus’at ) Ki ALLAH Uske Liye Saal Bhar Kushaadgi Ataa Farmayega.

Baihaqi sharif, Hadees No: 3626

Mujhe ALLAH se Umeed Hai ke Ashura ka Roza Sabeqa (guzre huwe) Ek Saal Ke Gunah Mita Dega.

Jame Tirmizi, Vol:1, Page: 158

Tum Log Ashura (matlab 10 Muharram) Ka Roza Rakho Aur Usse Ek Din Pehle, Ya Uske Ek Din Baad Roza Rakho Aur Yahood Ki Mushabahat Mat Ikhtiyaar Karo.

Zujajatul Masabeeh, Vol:1, Page: 572

Ramzan ke roze ke baad sab Roze mein afzal Muharram ke roze hain.

Jo ALLAH ka mahina hai aur Namaz e Farz ke baad sab se afzal Tahajjud ki namaz hai.

Sahih Muslim sharif, Jild -3, Hadees -2755

Do din roze rakhein 9 aur 10, Yaa 10 aur 11

Agar kisi wajah se 9 Muharram ka Roza na rakh sakein to 10 aur 11 ka rakhein.

Aur agar kisi sabab yaa majboori ki wajeh se sirf 10 rakhein tab bhi gunah nahi.

Lekin ek ke bajaye do roze rakhein to behtar hai.

Posted By:

AHLE SUNNAT AHLE JANNAT

Share your love