Muharram Shareef Me Kiye Jane Wale Khilaf-E-Shar’a Kamo’n Ki Nishan Dahi Farmaye?

Jawab: Shaikhul Hadees Hazrat Allama Abdul Mustafa Irshad Farmate Hai:nnDhol Tasha Bajana, Taziyo’n Ko Matam Karte Huwe Gali Gali Phirana, Sino Ko Hatho’n, Ya Zanjiron, Ya Chhuriyo (Knifes) Se Pit Pit Kar Aur Mar Mar Kar Uchhalte Kudte Huwe Matam Karna.nnTaziyo’n Ki Tazim Ke Liye Taziyo’n Ke Samne Sajdah Karna.nnTaziyo’n Ke Niche Ki Dhool Utha Utha Kar Bataur E Tabarruk Chehron, Saro’n Aur Sino Par Malna.nnApne Bachcho (Childs) Ko Muharram Ka Faqeer Bana Kar Muharram Ki Niyaz Ke Liye Bheek Mangwana.nnSog/Gham Manane Ke Liye Khas Qism Ke Kale Kapde Pehen Kar Nange Sar Nange Paunw (Legs) Girebaan Khule Huwe, Ya Girebaan Phaad Kar Gali Gali Bhage Phirna Waghaira Waghaira Qism Ke Lughwiyat Aur Khurafat Ki Rasme Jo Musalmano Me Pheli Huwi Hai.nnYe Sab Mamnu O Najaiz Hai Aur Ye Sab Zamana-E-Jahiliyat Aur Rafziyo’n (Shiyao’n) Ki Nikali Huwi Rasme Hai.nnJin Se Tauba Karke Khud Bhi In Haraam Rasmo’n Se Bachna Aur Dusro Ko Bachana Har Musalmaan Par Lazim Hai.nnUsi Tarah Taziyo’n Ka Jhuloos Dekhne Ke Liye Aurato Ka Be Parda Gharo’n Se Nikalna Aur Mardo Ke Majmo’n Me Jana Aur Taziyo’n Me Jhuk Jhuk Kar Salaam Karna.nnYe Sab Kaam Bhi Shariyat Me Mana Aur Gunah Hai.nn(???? ???? ????? ???, ? 156/157)

Share your love