Kya Azan ke pehle aur Azan ke baad ki dua ka Mic pe padhna

Aur Farz Namaz ke baad mein Buland awaz se jahri Taur pe Durood Sharif  ka padhana sahi hai?

Kyunki mu’ashre ke kai bade buzurg jo sahiul aqida sunni hain woh yeh kahte hain ki yeh unhone apne zamane mein na dekha tha.

Balki kuch yeh bhi kahte hain ki yeh sirf Sunni Masjido ki alag pehchan batane ke liye Izafa kar diya gaya hain.

Hazrat aur yeh ki kya isko na sirri taur pe padha jana kam Afzal, ya na maqbul ho shakta hain?

Jawab:

Durood e paak ke parhne ke liye kisi waqt ki qaid nahi, balke har waqt ijazat hai.

Ab agar koi Azan se Qabl, ya baad mein, ya iqamat se qabl durood parhe, to isme harj nahi.

Haan, ye zaruri hai ke azan aur Durood e paak ke darmiyaan fasl karein.

Yaani is tarah parhe ke logo par waazeh ho jaayein ke ye azan ka juz nahi.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love