Share Market Ke Ta’lluq Se Shariyat Ka Kya Hukm Hai?

Jaise Commodity Mein Gold Waghairah Mein Invest Karte Hai.

Phir Jaise Hi Uska Rate Badh Jaata Hai Bech Dete Hai.

Ye Sab Online Zariye se Hota Hai. Aisa Kar Sakte Hai Ya Nahi?

Jawab:

Share Market Ka Muaamla Ek Juwe Ki Tarah Hai.

Lehaza Usme Paise Lagana Durust Nahi.

Agar Gold Par Qabza Ho Jaayein Ke Jab Chahein Aap uss Gold Ko Istemal Kar Sakte Hai, To Ye Durust Hoga.

Aur Agar Us Par Qabza Nahi Hai.

Balke Yu hi Khareed o Farokht Ho Rahi Hai, To Durust Nahi.

Waazeh Rahein Ke In Surato Mein Agar Kafir Company Hai aur Musalman Nuqsan Ka Andesha Nahi Hai.

Balke Faayede ka Yaqeen Hai, To Kafir Se is Tarah Nafa Uthana Jaayez Hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love