Mas’ala Ye Hai Ke Railway Ka Ye Rules Hai Ke Jab Train Aakhri Station Par Pahunchti Hai

To Waha Par Train Khali Hone Ke Baad Train Ki Safaii ki Jati Hai.nnTab Kaii Baar Train Me Passenger Ka Bhula Hua Samaan Milta Hai.nnTo Wo Samaan Railway Office Me Jamaa Karaya Jata Hai.nnFir Railway Officers us Samaan Ki Taftish Karke Uske Maalik ko Dhundne ki Koshish Karte Hai.nnJab us Samaan ka Koi Waris Nahi Milta to Us Samaan ko Railway Ki Tai ki Hui Muddat Tak Railway Office Me Rehta Hai.nnFir Uski Muddat Khatam Hone Par Wo Samaan Haraaji Me Bech Diya Jata Hai.nnTo Aisa Samaan Haraaji Me Se Kharidna Kaisa Aur us Samaan Ka Istemaal Karna Kaisa?nnJawab:nnJab Kisi Musalman Ka Maal Mile aur Wo Maal us Ke Malik Tak Na Pahoch Sake to Kisi Faqeer ko Diya Jaaye.nnLehaza Mazkoora Surat Me Us Samaan Ko khareedna Jaayez na Hoga.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love