Kisi Khane Ki Chiz Ka Sauda Jis Kimat Par Tay Hua Ho

Or Baad Mein Samne Wala Jyada Raqam Ka Mutalba Karein Or Hum De De, To Kya Ye Jayez Hai?

Jawab:

Agar Ye Khareed O Farokht Naqd Ho Aur Qeemat Tai Hone Ke Baad Dono Apni Marzi Se Pahli Qeemat Tod Kar Dosri Qeemat Tai Karein Aur Dosri Qeemat Pahli Se Ziyadah, Ya Kam Rakhein To Is Mein Harj Nahi.

Aur Agar Khareed Farokht Ka Ye Amal Udhar Hai Aur Jab Qeemat Ada Karne Lage Us Waqt Qeemat Se Zaaid Maangna Sood O Haraam Hai.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love