Ab woh is tarah Ghusl karta hai ke Sirf Faraiz-E-Ghusl Ada Karta hai. Yaani Wazu nahi karta, To kya woh Paak ho gaya?
Kya woh Namaz, Quran padh sakta hai?
Jawab:
Agar ghusl ke farz ada kar liya to uska ghusl ho gaya aur us tahaarat se Namaz o deegar ibadat kar sakta hai.
Magar bila uzr aisa karna khilaaf e sunnat hai makrooh hai.
Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi