Kisi Ne Khuda Se Pucha Aye Khuda Tune Hazrat Ali Ka Mawlud (Birth) Kaabe Ke Andar Kyu Karwaya?

Khuda Ne Kaha:- Soon, Aye Bande Sirf Ye Zaahir Karna Mera Maqsud Tha

Jab DULHAN Mustafa Ke Ghar Se Hai, To DULHA Khuda Ke Ghar Se Hona Chahiye!

Yaume Wiladat Maula Ali Alahe Salaam Mubarak

Jawab:

Sab Se Pehli Baat To Ye Jo Qaul Zikr Kiya Gaya Man Gharat Aur Jhoot Par Mabni Hai Aur Allah Taala Ki Janib Jhoot Baandhna Sakht Haraam.

Balke Munjir Ilal Kufr Hai.

Aqlan Bhi Ye Baat Jihaalat Par Mabni Hai.

Kya Maaz-Allah Jis Tarah Hum Apne Ghar Mein Rehte Hain.

Allah Taala Bhi Apne Ghar Me Rehta Hai?

Yahan Allah Ke Ghar Se Muraad Allah Ka Zikr O Ibadat Karne Ka Khaas Muqaam Hai.

Jahan Bandah Allah Ki Ibadat Karein Ab Sawal Mein Zikr Jumle Par Gaur Karein.

Agar Us Se Muraad Yahi Hai Ke Allah Taala Us Ghar Mein Rehta Hai.

To Aisa Iman Rakhna Kufr Hai.

Quran E Paak Ki Aayat Ka Mafhoom Hai.

Ke Beshak Sab Se Pehla Ghar Jo Logo Ki Ibadat Ke Liye Banaya Gaya Wo Makkah Mein Hai. (Yaani Khana E Kaabah) Aur Mazeed Ye Ke Hazrat Ali Karramallahu Taala Wajhahul Kareem Ki Wiladat Kaabah Mein Hui Ya Nahi.

Is Baare Mein To Ulama O Muhaddiseen Ka Kaseer Ikhtelaaf Hai Aur Raajeh Yahi Ke Apki Wiladat Kaabah Mein Na Hui.

Magar Hazrat Hakeem Bin Hizaam RaziAllahu Taala Anh Se Mutalliq To Kaseer Riwayat Hain Ke Apki Wiladat Khana E Kaabah Mein Hui.

Neez Kaabah Ke Andar Wiladat Hona Koi Mamooli Baat Nahi.

Agar Aisa Hi Hota To Ye Baat Dhaki Chupi Na Rehti.

Balke Mashhoor Aur Apke Fazail Mein Mazkoor Hoti.

Halanke Motabar Muhaddiseen O Muwarrikheen Ne Hazrat E Ali Karramallahu Taala Wajhahul Kareem Ke Fazaail Ka Kai Safahaat Par Mushtamil Zikr Farmaya.

Magar Kahin Maulood E Kaabah Ka Zikr Na Kiya.

Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love