Maqbara Ka Matlab Kisi Buzurgh Ki Mazaar Bhi Kya?
Aur Jo Road Par Jumah Padhi Jaati Hai Wo Kahi Kahi Chauraha Bhi Hai?
Kya Road Par Namaz Padh Nahi Sakte?
Jawab:
Maqbra Par Namaz Ke 2 Maana Hain.
Ek Ye Ke Qabr Ke Upar Namaz Parhi Jaayein.
Dosra Ye Ke Qabr Saamne Ho Aur Beech Mein Kuch Haayel Na Ho Maslan Diwaar Wagairah.
Raaste Par Namaz Ki Mumaaniat Ki Wajah Ye Hai Ke Log Us Ke Samne Se Guzrenge, Ya Us Ka Zahen Bhatkega, Aur Jumuah Ki Namaz Jahan Hoti Hai.
Wahan To Rasta Band Hota Hai Is Ka Khadsha Nahi Hota.
Khalifa E Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi