Huzoor Bahut Se Ahle Hadees Ye Kehte Hai Ke Jis Cheez Ko Deen Kaha Jayega

Jise sawab Kaha Jayega Usme Koi New Baat Laana Biddat Hai.nnJawab:nnBiddat Kehte Hain Kisi Nayi Cheez Ko Wujood Me Laana.nnBiddat Ki Buniyadi Taur Par Do Qisme Hai.nn1) Biddat E Hasanah (Yaani Acchi Biddat)nn2) Biddat E Saiyye’ah (Yaani Buri Biddat)nnJaisa Ke Hadees E Paak Me Irshad Huann“Jo Admi Islam Me Koi Acchi Biddat Laaye Phir Us Ke Baad Us Par Amal Kiya Jaaye, To Jo Log Bhi Us Par Amal Karenge Un Ke Ajr Ke Misl Us (Jaari Karne Waale) Ke Liye Bhi Likha Jaayega.nnAur Khud Un Amal Karne Waalo Ke Ajr Me Se Kuch Kam Na Hoga.nnAur Jo Koi Islam Me Koi Buri Biddat Jaari Kare Phir Us Ke Baad Log Use Apne Amal Me Laayein.nnTo Un Sab Ko Jo Gunah Hoga Wo Us (Jari Karne Wale) Ke Naama E Amaal Me Bhi Likha Jaayega.nnJab Ke Amal Karne Waalo Ke Gunah Me Kuch Kami Na Hogi”nMuslim ShareefnnIs Hadees Se Istedlal Karte Hue Deen Me Koi Naya Accha Amal Jaari Karna Jo Shari’at Ke Buniyadi Usoolo Ke Mukhalif Na Ho Na Sirf Jaayez Balke Mustahab Amal Hai.nnJaisa Ke Hadrat Umar E Farooq Radi-Allahu Ta’ala Anh Ne Ramzan Ul Mubarak Me Baa Jama’at Namaz e Taraweeh Karne Ke Apne Amal Ko Khud Farmaya: “Ye Acchi Biddat Hai”. nnBukhari ShareefnnIsi Tarah Bahot Se Af’aal Jo Huzoor ? ki Hayat e Tayyebah Me Us Tarah se Nahi The Aur Sahaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ya Un Ke Baad Ummat e Muslimah Me Riwaaj Pa Gaye.nnJaise: Quran e Majeed Ko khaleefa e Awwal Hadrat Siddeeq e Akbar Radi-Allahu Ta’ala anh Ke Daur e khilafat Me kitabi Shakl Me Jama Karna, Ya Us Ke Baad Hajjaj Bin Yusuf Ke Daur Me Quran e Paak Par E’raab Lagana, Fiqh, Nahw, Eid Miladun Nabi, Durood o Salam, Iman e Mufassal o Iman e Mujmal, 6 Kalime, Masjido me Minaar o Gumbad o Mehraab, Tasawwuf o Tareeqat o Ma’rifat, Soyem, Chehlum, Khatam, Urs, Giyaarahwi Shareef Wagaira.nnAise Af’aal hain jo Ummat me Riwaaj Pazeer Hue Aur Kisi Shara’i Hukm Se Takraao Aur Mukhaalifat Na rakhne ki Wajah Se Ye Kaam Hadees e Nabawi ? ki Roshni me Biddat e Hasanah ke Zimn Me Aate Hain.nnIsi Tarah Jo Umoor Shariat Se Takraao Rakhte Hain Wo Biddat e Saiyye’ah Yaani Buri Biddat Ke Zumre Me Aate Hain Aur Shara’i lehaaz Se Mamnoo Hain.nn??????????????nKhalifa-E-Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi nKhadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love