Jung E Qustuntaniyah Me Awal Jung Me Yazid Sharik Nahi Tha

Kya Farmate Hai Ulma E Deen Is Zail Me Sahi Bukhari Sharif Me Hai Ke Hizri 48 Me Jo Jung E Qustutaniyah Hui Thi Jis Me Yazid Ek Daste Ka Amir Tha.nnnUske Bare Me Meri Ummat Ka Pehla Lashkar Jo Qaisar Ke Shehar Par Hamlawar Hoga,nnnIsko ALLAH Ta?la Ne Bakhsh Diya Hai.nnnIs Hadees Ki Buniyad Par Boht Se Log Yazid Ko Magfur Kahte Hai.nnnJab Ke Aqal Qatai Gawara Nahi Karti.nnnLehaja Mazkura Mafhum Hadees Ke Bare Me Sharhin Kiram Ki Kya Murad Hai?nnANSWERnnHadees Ke Alfaaz Karima Yeh Hainnn???? ??? ?? ???? ?????? ????? ???? ????? ?????nnnMeri Ummat Ka Pehla Lashkar Jo Qaisar Ke Shehar Par Hamla Karega Bakhsh Dia Jayega.nAap Ne Bukhari Sharif Ke Hawale Se Likha Hai Ke Hizri 48 Me Jo Jung Hui Thi Jiske Ek Daste Ka Yazid Imaam Tha Yeh Sab Bukhari Sharif Me Nahi Aur Na Hadees Ki Kisi Kitab Me Hai Aur Na Hziri 48 Wali Jung Me Yazid Sharik Tha.nnnYeh Sab Kisi Yazidi Ne Dajal Wa Fareb Kia Hai.nnHadees Ke Asal Alfaaz Me Do Lafz Qabil E Gaur Hai.nnnPehla Lashkar,Dusra Shehar Qaisar, Shehar Qaisar Se Agar Qaisar Ka Koi Bhi Shehar Murad Liya Jaye Jo IsKe Had Wa Saltnat Me Ho To Is Hadees Ka Misdaaq Gazwa Muta Ke Mujahidin Hai.nnnJo Huzur ? Ke Ahad Mubarak Me Hua Tha.nnJisme Sahaba E Kiram Ne Qaisar Ki Qalmar Wa Sham Par Pehla Hamla Farmaya Tha.nnnAur Agar Is Se Murad Dara Salatnat Hai To Huzur Aqdas ? Ke Ahad Mubarak Me Qaisar Ka Dar Satlanat Jams Tha,nnJo Hazrat Syedna Farooq E Azam Radiallahu Ta?la Anho Ke Ahad Pak Me Fatah Hua, Aur Agar Kisi Ko Zid Ho Ke Madina Qaisar Se Murad Qustuntaniyah Hi Ho To Sab Se Pehle Qustuntaniyah Par Lashkar Kashi Hazrat Muawiyah Ne Hizri 32 Mme Kia Hai.nnAl Bidaya Wa Nihayaa Me Hai :nnn? ???? ??? ?????? ???? ????? ??? ??? ?????? ???? ????????n??????? ???????? ? ??? ? ?nnnAur Dusra Hamla Basr Bin Abi Artaat Ne Hizri 43 Me Kiya.nnn???? ??? ??? ?? ??? ????? ???? ????? ??? ?? ???? ??? ??? ????? ????????n??????? ????????nnn?Aur Chotha Hamla Khalid Bin Walid Saifullah Radiallahu Ta?la Anho Ke Sahabzade Hazrat Abdul Rehmaan Ne Hizri 44 Me Kiya.nnn??????? ? ????? ??? ?? ?? ????? ??? ????? ??????? ??? ?????? Main Hain?????? ????????nnnIs Lashkar Me Hazrat Syedna Abu Ayub Ansari Radiallahu Ta?la Anho Bhi They,nnYazid Ki Sipa Salari Me Qustantaniyah Par Jo Hamla Hua Tha Wo Hizri 50 Ya Hizri 52 Me Hua Tha,nnnIsSe Yeh Zahir Ho Gaya Ke Yazid Ne Qutantaniyah Ki Jis Jung Me Shirkat Ki Wo Pehli Jung Nahi Thi.nnnBalke Yaato 6thi Ya 4thi Thi.nnPhir Wo Khabis Is Basharat Ka Kaise Musthaq Ho Sakta Hai, Aur Hadees Me To Saaf Tasrih Hai Ke Pehla Lashkar Jo Shehar Qaisar Par Hamlawar Hoga Us Ki Magdfirat Kar Di Jayegi.nnnYazid Pehle Lashkar Me Kisi Tarah Sharik Nahi Tha.nnPehle Humle Ke Waqt Jo Hazrat Mauwiyah Ne Kiya Tha Uski Ummar Ba Mishkil 7 Sal Ki Thi.nnnYeh Khabis Hizri 25 Me Paida Hua Tha.nWallauallam.nnnFatwa E Shareh Bukhari Jild 2

Share your love