Jis Tarah Fajar Maghrib Or Isha Me Imam Buland Awaz Se Surah Padte Hai

Toh Zohar, Asar, Maghrib Ki Teesri Rakat Or Isha Ki Teesri Aur Chauthi Rakat Me Surah Buland Awaz Se Kyu Nahi Padhte?nnJawab:nn1) Sirri O Jahri Namazo Ki Wajah Sab Se Barh Kar Yahi Hai Ke Huzoor ? Se Isi Tarah Saabit Hai.nnDosri Wajah Ye Bayaan Ki Jaati Hai Ke Namaz Ke Farz Hone Ke Waqt Makkah Me Chand Hi Sahaba The Aur Kuffar E Quraish Unhe Takleefein Diya Karte The.nnUnhe Ibaadato Se Rokte The.nnLehaza Jis Waqt Ye Apne Gharo Me Hote (Zohar O Asr Ke Waqt) To Namaz Me Sirri (Ahista) Qirat Ki Jaati Aur Jis Waqt Kuffar Sote Rehte (Fajr O Isha) Ya Bazaaro Ki Janib Chale Jaate (Maghrib Ke Waqt) To Namazo Me Qirat Jahri (Buland Awaz Se) Ki Jaati.nnAur Hijrat Ke Baad Bhi Yahi Ma?mool Raha Agarche Wo Sabab Baaqi Na Raha.nnLehaza Is Par Huzoor ? Ne Mudaawmat Farmayi To Ye Hum Par Wajib Ho Gaya.nnJab Kisi Baat Ka Shariyat Ne Hukm Diya Ho, To Us Me Chu Chira Karna, Ya Sabab Poochna Nahi Chahiye, Ke Allah O Rasool Ne Wahi Hukm Diya Jo Hamare Liye Mufeed Aur Isi Par Iman Kaafi.nnPhir Bhi Sirri O Jehri Qirat Se Mutalliq Kuch Baatein Zikr Kar Deta Hu.nnNamaz Ke Aksar Af?aal O Ahkaam Un Chupi Hui Chizo Aur Hikmato Par Mabni Hain Jin Ki Haqiqat O Halaat Sirf Ahl E Quloob Par Zahir Hoti Hai.nnPhir Aam Log Bhi Ahkam Me Unke Sath Shareek, Jaise Din Ki Namaz Me Ikhfa (Ahista Qirat) Wajib Aur Raat Ki Namazo Me Jahr (Awaz Ke Sath), Kyu Ke Raat Lutf Ki Nishani Hai Aur Uski Tajalli Lateef Aur Din Qahr Ki Alamat Hai Aur Uski Tajalli Shadeed, Aur Jehr Ki Tajalli Sirr Se Bahot Qawi Aur Garam Hai.nnLehaza Ta?deel Ke Liye Tajalli E Qahri Ke Sath Thandi Tajalli Rakhi Gayi Aur Lutfi Ke Sath Garam, Jumuah Aur Eidain Me Din Hone Ke Bawajood Jahr Ka Hukm Hua Ke Hazireen Ki Kasrat Ki Wajah Se Uns Hasil Hota Hai Aur Dahshat Khatam Hoti Hai.nnNamaz Asl Me 2 Hi Rekaat Hai.nnPhir Ba’Halat E Iqamat Maghrib Me 1 Aur Zohr, Asr O Isha Me 2 Rakatein Zaayed Kardi Gayi.nnLehaza Farz Ki 2 Hi Rakat Me Qirat Farz Hai.nn??????????????nKhalifa E Huzoor TajushshariahnMufti Maqsood Akhtar QadrinKhadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadin??????????????

Share your love