Sajda e sahu ke mutaliq ye hai ke imam ne sajda e sahu wajib na hone par sajda kiya.

To usse masbooq or sajda e sahu ke baad shamil hone wale ki namaz kya wajib ul iaada hogi.

Jawab:

Kyuke Imam ke Pehle salam pherte hi Imam Namaz se Nikal gaya.

Ab agar koi us imam ki itteba karega to Namaz fasid ho jaayegi.

Kyuke us imam ka ye Fe’l kharij e Namaz hai.

Lehaza Isi bina par Masbooq ki Namaz Fasid ho jaayegi.

Khalifa e Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love