Masjid ke khadim se Imam sahab apne personal kaam karwa sakte hai?

Aur kya masjid ke khadim se imam sahab apni bike masjid hi ke pani se dhulwa sakte hai?

Aur kya masjid ke khadim se masjid ka pani bahar mangwa kar apni gaadi koi shakhs dhulwa sakta hai?
Us masjid ke khadim ko uska mehentaana dekar ye kaam karwaye ja sakte hai?

Jawab:

Agar wo khadim yu hi az raah e ulfat o humdardi khud khidmat karein to harj nahi.

Rahi baat masjid ke pani ke Istemal ki to masjid ka pani gaadi dhone ke liye Istemal karne ki ijazat nahi.

Yu hi masjid ke khadim ko kisi kaam ki ujrat dena bhi jaayez hoga.

Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi

Share your love